Tulu e subah tere rukh ki baat hone lagi
Tumhari zulf jo bikhri toh raat hone lagi
Tumhari mast nazar ka khumaar kya kehna
Nashe mein garq sabhi kayanaat hone lagi
तुलु-इ-सुबह तेरे रुख़ की बात होने लगी
तुम्हारी ज़ुल्फ़ जो बिखरी तो रात होने लगी
तुम्हारी मस्त नज़र का खुमार क्या कहना
नशे में ग़र्क़ सभी क़ायनात होने लगी
Sar jispe na jhuk jaaye use dar nahi kehte
Har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte
Kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte
Kehte toh hain lekin tere muh par nahi kehte
सर जिसपे न झुक जाए उसे दर नहीं कहते
हर दर पे जो झुक जाए उसे सर नहीं कहते
क्या तुझको जहां वाले सितमगर नहीं कहते
कहते तो हैं लेकिन तेरे मुँह पर नहीं कहते
Kaabe mein har ik sajde ko kehte hain ibaadat
Maikhaane mein har ik jaam ko saagar nahi kehte
Kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir
Maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte
काबे में हर इक सज्दे को कहते हैं इबादत
मयखाने में हर इक जाम को सागर नहीं कहते
काबे में मुसलमान को भी कह देते हैं काफिर
मयखाने में काफिर को भी काफ़िर नहीं कहते
Achhi soorat ko sanwarne ki zaroorat ka kya hai
Saadgi mein bhi kayaamat ki ada hoti hai
Tum jo aate ho masjid mein ada karne namaaz
Tumko maaloom hai kitno ki kaza hoti hai
अच्छी सूरत को संवरने की ज़रुरत का क्या है
सादगी में भी क़यामत की अदा होती है
तुम जो आते हो मस्जिद में अदा करने नमाज़
तुमको मालूम है कितनो की कज़ा होती है
Ulfat Ka Nishaan Dil Se Mitaaya Nahi Jaata
Us bhoolne waale ko bhulaaya nahi jaata
उल्फत का निशाँ दिल से मिटाया नहीं जाता
उस भूलने वाले को भुलाया नही जाता
Sar gair ki chaukhat pe jhukaaya nahi jaata
Hum se toh khuda aur banaaya nahi jaata
सर गैर की चौखट पे झुकाया नहीं जाता
हम से तो खुदा और बनाया नहीं जाता
Ab umr judaayi mein tadap ke hi kategi
Roothe hain wo aise ki manaaya nahi jaata
अब उम्र जुदाई में तड़प के ही कटेगी
रूठे हैं वो ऐसे की मनाया नहीं जाता
Yeh kaisi muhabbat hai phase margh bhi tumse
Ik phool bhi qurbat pe chadhaaya nahi jaata
ये कैसी मुहब्बत है फसे मार्ग भी तुमसे
इक फूल भी क़ुरबत पे चढ़ाया नहीं जाता
Ham par hi lagaate ho sada ishq ki tohmat
Ilzaam raqeebon pe lagaaya nahi jaata
हम पर ही लगाते हो सदा इश्क़ की तोहमत
इलज़ाम रक़ीबों पे लगाया नहीं जाता
Yeh souz e muhabbat hai na to ashq ke chheetein
Is aag ko paani se bujhaaya nahi jaata
यह सोज़-इ-मुहब्बत है न तो अश्क़ के छीटें
इस आग को पानी से बुझाया नहीं जाता
Le jaayein kahan zakhm e judaayi ko fana hum
Yeh phool kisi dar pe sajaaya nahi jaata
ले जाएँ कहाँ ज़ख़्म-इ-जुदाई को फ़ना हम
यह फूल किसी दर पे सजाया नहीं जाता