Aaj Milkar Bhi Unse Na Kuch Baat Ki

Aaj Milkar Bhi Unse Na Kuch Baat Ki,

Haye Majboorian Mere Halaat Ki,

आज मिलके भी उन्से ना कुच्छ बात की, 

हाए! मजबूरियां मेरे हलात की


Kuch Keh Na Sakoon, Chupp Reh Na Sakoon, 

Haye! Majboorian Meri Majboorian


Nahi Maloom Tha Kis-Kis Tarah Na Chaar Karta Hy,

Dil Usko Jaanta Hy Bewafa Pr Pyaar Karta Hy

Haye! Majboorian Meri Majboorian


Mere Hi Samne Wo Pehlu Me Dushman K Bethe Hein,

Haye! Majboorian Meri Majboorian 


Suna Pehle Tou Mujhse Qissa-E-Ghum Phir Zubaan Kaati,

Hamesha K Liey Tehh Karr K Rakhh Di Dastaan Meri

Haye! Majboorian Meri Majboorian


Bus Itni Si Doori Yeh Mein Hu Yeh Manzil,

Kahan Aa K Phootay Hein Paon K Chalaay


Zabt Karta Hu Tou Ghut'ta Hy Qafas Mein Mera Damm,

Aah Karta Hun Tou Sayyaad Khata Hota Hy


Tum Hi Ek Kia Sub Zamana Khafa Hy,

Na Koi Bhala Hy Na Koi Bura Hy,

Yeh Mere Muqadar Ki Sari Khata Hy,

Yeh Mana Koi Waqt-E-Rahat Nahi Hy,

Magar Tumse Koi Shikhayat Nahi Hy


Jis Jaga Bazam Mein Saqi Ne Bithaya Hy Humein,

Hath Phailaen Tou Jata Nahi Paimanay Takk


Bakhia Ae Jaa K Dil Kyu Na Khulne Lagay,

Hijr Ki Raat Phir Wo Bhi Barsaat Ki,

बखिया ऐ जा के दिल क्यूं ना खुलने लगे,

हिज्र की रात फिर वो भी बरसात की,


Din Kata Jis Tarah Kata Lekin,

Raat Kat'ti Nazar Nahi Aati


Bin Piya Barsat Me Munh Ko Kaleja Aye Hy,

Dil Tarap Uth'ta Hy Jab Kali Badalia Chae Hy


Kisi Ki Shab-E-Wasl Sotay Katay,

Kisi Ki Shab-E-Hijr Rotay Katay,

Hamari Yeh Shab Kesi Shab Hy,

K Ya Rab, Na Sotay Katay Na Rotay Katay


ALLAH ALLAh Majaz-E-Haqeeqat Numa,

Wo Bashar Hy K Taswwer Hy Zaat Ki,


Saqiaa Saqiaa Jaam De Jaam De,

Sun K Aye Hein Shohrat Kharafat Ki,


Ae Naseer Unko Apna Bana Lein Gy Hum.

Koi Surat Tou Nikle Mulaaqaat Ki


kalam by: Peer Naseer ud Din Naseer shah