Unse Hi Aaj Unki Mulaqaat Ho Gai

raazdaaroN se bach ke chalta hun 
gham gusaroN se bach ke chalta hun 
mujhko dhokha dia saharoN ne 
ab saharoN se bach ke chalta hun 

( I stay clear of the confidants 
I stay clear of the consolers 
I have been betrayed by the supporters 
now I stay clear of the supporters ) 


aql ke rog maar dete hain 
ishq ke sog maar dete hain 
aadmi khud ba khud nahin marta 
duusre log maar dete hain 

( vices of the mind ruin a man 
pain of love ruin a man 
a man is not ruined himself 
others ruin him ) 


sheeraza-e-hayaat pareshaaN ho gaya 
ye marhala bhi khair se aasaan ho gaya 
mere sukoon-e-dil ko to hona hi tha tabaaH 
unki bhi ik nigaah ka nuqsaan ho gaya 

( the fabric of my life has been ruined 
this stage has also been cleared safely 
the tranquility of my heart was bound to be disturbed 
but my lover also faces a loss of one glance ) 



unki taraf se tark-e-mulaqaat ho gayi 
ham jis se dar rahe tha wo hi baat ho gayi 

( She refuses to meet me 
my fears have now come true ) 

aaina dekhne mein nayi baat ho gayi 
unse hi aaj unki mulaqaat ho gayi 

( something unusal happened today while viewing the mirror 
She met herself today ) 

tai unse roz-e-hashr mulaqaat ho gayi 
kitni si baat kitni badi baat ho gayi 

( day of judgement has been fixed for our meeting 
a mountain has been created out of a mole hill ) 

aaye hain wo mareez-e-muhabbat ko dekh kar 
aansooN bata rahe hain koi baat ho gayi 

( She has come back after seeing the victim of love 
her tears tell that something has happened ) 


aankh kam bakht se us bazm mein aansooN na ruka 
ek qatre ne duboyaa mujhko daryaa ho kar 

( this cursed eye could not hold back tears in the gathering 
one drop drowned me like a river ) 



dar parda bazm-e-gair mein donon ki guftugoo 
utthi idhar nigaah udhar baat ho gayi 

( such secret talks in the assembly of strangers 
just with the lifting of an eye, the message was delivered ) 

kab tak Qamar ho shaam ke waade ka intizaar 
suraaj chhupa chiraagh jale raat ho gayi 

( O Qamar !! till when should one wait for the promise of meeting in the evening 
the Sun has now set, lamps burn and it is now night )