Jab Tasawur Ki Nazar Mein

karaar loot liya bekaraar chchor gaye
bahaar le gaye yaadein bahaar chchor gaye

hamari chasme hazeen ka na kuch khayaal kiya
wo umar ke liye ahq baar chchor gaye

wohi bazm hai wohi dhoom hai wohi aashiqon ka hujoom hai
hai kami toh usi chaand ki dahe mazaar chala gaya

Jab tasawwur ki nazar mein aa gaye daata mian
jalwa e ganj e shakar dikhla gaye daata mian

khwaab mein jab ik khalak dikhla gaaye daata mian
mere dil ko aur bhi tadpa gaye daata mian

zindagi bhar aansuon se ham bujha sakte nahi
aag aisi hijr ki bhadka gaye daata mian

chchup gaye khushiyon ke jalwe aapke jaane ke baad
har taraf gham ke andhere chchaa gaye daata mian

ham tadapte hain judayi mein tumhari raat din
tum ye kya humpe qayamat dhaa gaye daata mian

jab sarre mehfil kisi ne zikr chcheda aapka
aankh mein purnam ki aansu aa gaye daata mian