Maikadah Ban Gayi Mast Aankhen

"Jab Kabhi unn Ki Baat Hoti Hai,
"Raqs Mein Kainaat Hoti Hai,
"Abr-e-Rehmat Hain Aaj Chaye Howe,
"Kis Ki Zulfo'n Ki Baat Hoti Hai,


"Taloo-e-Subho Tere Rukh Ki Baat Hone Lagi,
"Tumhari Zulf Jo Bikhri To Raat Hone Lagi,
"KHUDA Ke Waste Nazro'n Ko Rok Lo Warna,
"Nashe Mein Ghark Kainaat Hone Lagi, 
"Mai'Kada Ban Gayi Must Aankhe'n, 
Zulf Kali Ghatta Ho Gayi Hai,
"Mai'Kada Ban Gayi Must Aankhe'n, 


Zulf Kali Ghatta Ho Gayi Hai,
"Kya Ho Maey Ka Nasha Zindagi Mein, 
Zindagi Khud Nasha Ho Gayi Hai,
"Kya Ho Maey Ka Nasha Zindagi Mein, 
Zindagi Khud Nasha Ho Gayi Hai,


"Har Tabasum Khafa Ho Geya Hai, 
Har Mussarat Juda Ho Gayi Hai,
"Har Tabasum Khafa Ho Geya Hai, 
Har Mussarat Juda Ho Gayi Hai,

"Ay! Ghum-e-Ishq Teri Badolat Zindagi Kya Se Kya Ho Gayi Hai,
"Ay! Ghum-e-Ishq Teri Badolat Zindagi Kya Se Kya Ho Gayi Hai,


"Main Aseer-e-Ghum-e-Hijar Thehra, 
Aur Iss Se Zyada Kaho'n Kya,
"Main Aseer-e-Ghum-e-Hijar Thehra, 
Aur Iss Se Zyada Kaho'n Kya,
"Mujh Ko Jurm-e-Muhabat Mein Yaaro, 
Umar Bhar Ki Saza Ho gayi Hai,
"Mujh Ko Jurm-e-Muhabat Mein Yaaro, 
Umar Bhar Ki Saza Ho gayi Hai,


"Pehly To Dekhna Muskrana, 
Phir Nazar Pherna Rooth Jana,
"Pehly To Dekhna Muskrana, 
Phir Nazar Pherna Rooth Jana,
"Ho Geya Khoon Kitno Ka Na'Haq, 
Aap Ki To Adaa Ho Gayi Hai,
"Ho Geya Khoon Kitno Ka Na'Haq, 
Aap Ki To Adaa Ho Gayi Hai,


"Be-Ijazat Tere Naqsh-e-Paa Ko, 
Choom Kar Khud Pasheman Hun Main,
"Be-Ijazat Tere Naqsh-e-Paa Ko, 
Choom Kar Khud Pasheman Hun Main,

"Hoash Mein Itni Jurat Na Hoti, 
Be-Khudi Mein Khata Ho Gayi Hai,
"Hoash Mein Itni Jurat Na Hoti, 
Be-Khudi Mein Khata Ho Gayi Hai,



"Aisy Chalti Hai Galiyo'n Mein Teri, 
Jhoom Kar Jesy Chalty Hain May'Kash,
"Aisy Chalti Hai Galiyo'n Mein Teri, 
Jhoom Kar Jesy Chalty Hain May'Kash,

Jab Se Zulfon Ko Teri Chooaa Hai, 
Kitni Be-Khud Saba Ho Gayi Hai,
Jab Se Zulfon Ko Teri Chooaa Hai,
Kitni Be-Khud Saba Ho Gayi Hai,


"Kon Hai Dost Hai Kon Dushman, 
Aqs-e-Paishe-e-Nazar Hai Sabhi Ka,
"Kon Hai Dost Hai Kon Dushman, 
Aqs-e-Paishe-e-Nazar Hai Sabhi Ka,
"Jab Se hasrat Charha DilL Ka 

Para, Zindagi Aaina Ho Gayi Hai,
"Jab Se hasrat Charha DilL Ka Para, 
Zindagi Aaina Ho Gayi Hai,


"Be-Dawaa Mujh Ko Acha Kiya Hai, 
Chara'Sazi Ke Andaz Dekho,
"Be-Dawaa Mujh Ko Acha Kiya Hai, 
Chara'Sazi Ke Andaz Dekho,

"Muskara Kar Nazar Yun Uthayi, 
Dard-e-Dill Ki Dawaa Ho Gayi Hai,
"Muskara Kar Nazar Yun Uthayi, 
Dard-e-Dill Ki Dawaa Ho Gayi Hai,


"Yun Racha Kaif Nass Nass Mein Meri, 
Mitt Gayi Fikr-e-Duniy-o-Uqba,
"Yun Racha Kaif Nass Nass Mein Meri, 
Mitt Gayi Fikr-e-Duniy-o-Uqba,

"Jab Se Rakha Qadam May'Kadey Mein 
Zindagi Kya Se Kya Ho Gayi Hai,
"Jab Se Rakha Qadam May'Kadey Mein 
Zindagi Kya Se Kya Ho Gayi Hai,


"Ishq Ne Kya Tamasha Dikhaya, 
Kesi Karwatt Naseebo'n Ne Badlli,
"Ishq Ne Kya Tamasha Dikhaya, 
Kesi Karwatt Naseebo'n Ne Badlli,

"Ay! FANA Hum Ko Deewana Kar Ke, 
Woh Nazar Parsaa Ho Gayi Hai,
"Ay! FANA Hum Ko Deewana Kar Ke, 
Woh Nazar Parsaa Ho Gayi Hai,


"Mai'Kada Ban Gayi Must Aankhe'n, 
Zulf Kali Ghatta Ho Gayi Hai,
"Kya Ho Maey Ka Nasha Zindagi Mein, 
Zindagi Khud Nasha Ho Gayi Hai,