Eid Ka Chand

Chak-E-Daman Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chand,




Jane Kiyun Aap Ke Rukhsar Mehak Utte Hain,
Jab Kabhi Kan Mein Chupke Se Kaha, Eid Ka Chand


Unke Abroey-KhaMeeda Ki Tara Teekha Hai,
Apni Aankhon Mein Badi Der Chuba EID Ka Chand,




Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jiase,
GaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chand,




Leke Haalaat Ke Seraon Mein Aa Jaata Hai,
Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chand,




Talhiyaan Badh Gayi Jab Zeest Ke PaiMaane Mein,
Gholke Dard Ke Maron Ne Piya EID Ka Chand,



Chashm To Wusat-E-Aflaq Mein Khoyi Sagar,
Dil Ne Ek Aur Jaga Dhoond Liya EID Ka Chand