Is Qadar Kaun Mohabbat Ka Sila Deta Hai
Uska banda hoon jo bande ko khuda deta hai
uske irshad se mujh par mere asraar khule
ke woh har lafz mein aaena dikha deta hai
wohi sar saaz karega mere veeranon ko
aandhiyon ko bhi jo qirdar e saba deta hai
kadam uthte hain mere jaanib e bat ha jab bhi
ik farishta mujhe shahpar ki hawa deta hai
qasar o aiwaan se guzar jaata hai chup chaap 'Nadeem'
dar muhammad ka jab aaye to sada deta hai