Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein

Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein,
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay

किस मुसर्रत से पहुंचे थे हम बज़म में,
रूह की तिशनगी को छुपाये हुए


Hasrat E Deed Thi Aur Yeh Ummed Thi, Aaj Armaan Dil Ka Nikal Ja'ay Ga
Yeh Khabar He Na Thi Ke Naqaab Uth'tay He, Warq Gir Ja'ay Gi Tool Jal Ja'ay Ga
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay...

Aaj Mil Ker Bhi Na Un Se Kuch Baat Ki
Ha'ay Majbooriyan Meri Halaat Ki
(आज मिल कर भी ना उन से कुछ बात की ,
हाए! मजबूरियां मेरी हालात की )

Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay...

Hum Baray Naaz Say Aa'ay Thay Teri Mehfil Pay
Kia Khabar Thi Lab E Izhaar Per Talay Hoon Gay
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay...


Ga'ay Thay Hum Bhi Jigar
Ke Pochay Thay Hum Say Baaat Ho Na Saki
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay...

Saakiya Dor Aaya Chala Bhi Gaya
Aur Hum Reh Ga'ay Jaam Tha'ay Hoay
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam

Mera Dil Toor Ker Mujh Say Muh Mod Ker
Janay Walay Mujhey Aik Nazar Daikh Le

Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say

Ankh Say Door Saheeh Dil Say Kahan Ja'ay Ga
Bholnay Wala Tu Mujhey Bohot Yaad Aaye Ga
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say


Nigahein Mila Karke Aye Jaane Waale
Munasib Nahi Ye Sitam Chalte-Chalte
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say


Oh Dil Tor Ke Janay Walay Dil Ki Baat Batata Ja
Ab Mei Dil Ko Kia Samjhaon Dil Ko Samjhata Ja
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say

Kyoun Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam
Chup Ke Baithay Ho Kiyoon Dil Chura'ay Hoay
Aik Muddat Howi Tum Ko Dekha Nahi
Ik Zamana Hoa Muskura'ay Hoay

(क्योँ नज़र फेर ली मुझ से मेरे सनम
छुप के बैठे हो क्योँ दिल चुराए हुए
एक मुद्दत हुई तुम को देखा नहीं
इक ज़माना हुए मुस्कुराये हुए)

Maut Beemar-E-Gham Ko Ab Aane Ko Hai
Chchoro Ab Is Nadaamat Say Kia Faida
Aakhri Waqt Hai Hasn Ke Rukhsat Karo
Daikho Betho Na Yoon Sir Jhuka'ay Huye

Phool Ki Zindagi Aik Tabassum Sahi
Yeh Tabassum Bhi Her Ik Ko Milta Nahi
Hum Ko Dekho Ke Hum Hein Chaman Mein Magar
Ik Zamana Hoa Muskaraye Hoay

Shama Bhujnay Ko Hai Chaand Chupne Ko Hai
Raat Dhalnay Ko Hai Din Nikalne Ko Hai
Ab To Aaja Sanam Kab Say Baithay Hein Hum
Apni Palkoon Pe Taray Saja'ay Hoay
(शम्मा भुजने को है चाँद छुपने को है
रात ढलने को है दिन निकलने को है
अब तो आज सनम कब से बैठे है हम
अपनी पलको पे तारे सजाये हुए )

Ab To Aaja Sanam Aaja
Daikha Nahi Hai Hum Ne Bohot Din Guzar Ga'ay
Ab To Aaja Sanam Aaja
Ab To Aaja Sanam Aaja
(अब तो आज सनम आज
देखा नही है हम ने बहुत दिन गुज़र गए
अब तो आजा सनम आजा
अब तो आजा सनम आजा)

Nigahein Dar Pe Lagi Hein Udaas Baithay Hein
Tumhare Aanay Ki Dil Mein Hai Aas Baithay Hein
Ab To Aaja Sanam Aaja
Ab To Aaja Sanam Aaja


अब तो आजा सनम आजा
अब तो आजा सनम आजा)

Wo Dil Ke Jiss Ko Neend Na Aaye Tamaan Raat
Deta Raha Tumhari Dohai Tamaan Raat
Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja

Bethe Hein Raahguzar Pay Dil Ka Dia Jalaye
Shayad Yeh Raat Beetay Shayad Tu Laut Aa'ay
Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja


Kiss Kis Ko Batin Gay Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Say Khafa Hai Tu Zamanay Ke Liyeh Aa
(किस-किस को बतायेगे जुदाई का सबब हम
तू मुझ से खफा है तो ज़माने के लिए आ )

Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja

Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein, Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay