Saath Denne Ka Vada Kiya Tha

Misaal o maawra hone se pehle
Khuda kya tha khuda hone se pehle

Tabiyat ko tabiyat se badal lo
Tabiyat aashna hone se pehle

Baja hone ki hai sirf ek soorat
Galat hoja baja hone se pehle

Saaz e hasti baja raha hoon main
Jashn e masti mana raha hoon main

Kya ada hai nisaar hone ki
Tujhse pehlu bacha raha hoon main

Kitni pukhta hai meri naadaani
Tujhko tujhse chhupa raha hoon main


Dil dubota hoon chasm e saaki mein
Mai ko mai mein mila raha hoon main
Aapko jeetne ke dhokhe mein
Jaan ki baazi laga raha hoon main


Unko milne ki aarzu mein adam
Apne nazdeek aa raha hoon main

Veerani e ghuman ko aqeedat se sej kar
Sdaadabi e hayaat ka unwaan bana diya
Duniya tere wajood ko karti rahi talaash
Hamne tere khayaal ko yazdaan bana diya

Saath dene ka waada kiya hai
Jaane jaan apna waada nibhaao

Yun na chchodo mujhe raaste mein
Do kadam toh mere saath aao

Kuch toh socho musalman ho tum
Kaafiron ko na ghar mein bithaao
Loot lenge yeh imaan hamaara
Apne chehre se gesu hataao

Meri turbat pe kyun ro rahe ho
Neend aayi hai mushkil se mujhko
Qabr mein chain se so raha hoon
Chcheente de kar na mujhko jagaao

Charaagar main hoon bemaar e furqat
Kyun uthaate ho bekaar zehmat
Karna chaaho jo mera madaawa
Dhoondh kar mere dilbar ko laao

Jab wo dekhenge mayyat tumhari
Aye fanaa unko afsos hoga
Ho jo mumkin to apne khuda se
Thodi si zindagi maang laao