Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun De Ga

Samandar Ko Samandar Main Sahara Kaun De Ga

Mere Chehray Ko Chehra Kab Inayat Karrahe Ho
Tumhain Mere Siwa Chehra, Tumhara Kaun De Ga

Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun De Ga

Mohabbat Neela Muasam Ban Ke Aa Jayegi Ik Din
Gulabi Titliyon Ko Phir Sahara Kaun De Ga

Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun De Ga

Meri Aawaz Main Awaz Kiss Ki Bolti Hai
Mere Geeton Ko Geeton Ka Kinara Kaun De Ga

Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun De Ga

Badan Main Aik Sehra Jal Raha Hai Bujh Raha Hai
Mere Daryaaon Ko Qaisar Ishara Kaun De Ga