Shehar Ke Dukandaro

Shehar Ke Dukandaro
Karobaar-E-Ulfat Mein
Sood Kia Zian Kia Hai,
 Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hein
 Khuwab Kitne Mehnge Hein
Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai
Tum Na Jaan Pao Gay


O merchants of the town,
in these dealings in love,
what is profit,
what is loss you will
never know!
The pricing of a heart,
the expense of a dream
and the currency of life
you will never know!


Koi Kaisay Milta Hai
Phool Kaisay Khilta Hai
Aankh Kaisay Jhukti Hai
Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai
Kaisay Baatein Chalti Hai
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

How a lover meets his love,
how a flower blooms,
how eye shies away from eye,
how a breath is held,
and how a path runs on and on,
conversation flows
in a tongue of longing,
too, you will never know!

Wasl Ka Sukoon Kya Hai,
Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai,
Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai
Maslihat Ke Shaydai
Raah-E-Gumrahan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Nor the calm of lovers’ arms,
nor the madness of their parting,
beauty’s powerful bewitchments,
all that stuff of love.
You know ailments of the flesh and the
welfare of the flesh,
but the striving of the spirit 
you will never know.

Zakhm Kaisay Phaltay Hein
Daagh Kaisay Jaltay Hein
Dard Kaisay Hota Hai
Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kia Hai Nalay Kia
Dasht Kia Hai Chalay Kia
Aah Kia Fughaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron,
Sheher Ke Dukandaron

How wounds fester,
how the brand stings,
What is pain and what lament,
wilderness, sore feet,
what a sigh and what a plaint
you will never know.


//Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein
//Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
//Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Janta Hoon Mein Tum Ko
Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai
Shaksiyat Sayjanay Mein
Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho
Sirf Lafz Suntay Ho
In Ke Darmiyaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

I know you foam with poetry,
your form of self-embellishment,
but you see only letters and you hear
only words—
and what hides behind them
you will never know!