Sahara Tum Ho To Kis Leye Phir

Samne jab bhi yaar hota hai
Rooh-E-Jaana ke Ehle dil ke liye
Zikr-E-Parwardigar hota hai



Mareez-E-Ishq ka aksar ye Haal hota hai
Kisi ki yaad se chehra bahaal hota hai
Main isko Kufar kahoon ya Jamaal-E-Ishq kahoon
Namaaz mein bhi tumhara khayal hota hai



Main sar pe ehsaan loon kyun kisi ka
Sahara Tum ho to kis liye phir

Rahe salamat ye gham tumhara
Yahi hai Kaaba hai zindagi ka

Ye ishq jo na hota to ye bandgi na hoti
Jo tera karam na hota to ye zindagi na hoti

Wo gham mashoor hai jo gham jise apna gham hai
Gham to wahi hai Jo gham e parwardigar hai

Mujhe dekhta hai jo bhi kehdo na jee bhar kar
Teri nisbat na hoti to meri zaat hi na hoti

Main qurbaton mein beshazban tha
Main khurkaton mein hi mutmayin hoon

Kaho bhi tum aam akhari tha
Hai ye bhi tohfa janab hi ka

Wo rooh e shahi hamesha maine
Rakha hai paon ki thokron ne

Makam sabse juda hai mere
Ke main hoon mangta teri gali ka

Main yahin karunga sajda ye mera mudda hai
Jo mila nahi haram se wo tere dar se mila hai

Wo khush mukaddar ke jisne sar ko
Jhukaya murshid ke pak dar par

Ye tune mangi hai sarfarazi
Makam uncha raha usi ka

Agar hai jaana to jaye lekin
Huzur itna khayal rakhen

Ke hijr e jaana mein ek paal bhar
Muhaal hota hai zindagi ka

Rawan ho gardan pe gar che khanjar
Khalal wo sajde mein aaye phir bhi

Ye hi ibadat ka hai salika
Yahi salika hai bandagi ka

Tumhari mazhar gadayi karke
Main naaz karta hoon apnepan par

Tumhare jitne zameer teri
Waqar alam hai shayari ka