Raazdaaron se bach ke chalta hoon
Ghambusaaron se bach ke chalta hoon
Mujhko dhokha diya sahaaron ne
Ab sahaaron se bach ke chalta hoon
Shiraza e hayat pareeshan ho gaya
Ye marhaba bhi khair se aasaan ho gaya
Mere sukoon e dil ko toh hona hi tha tabah
Unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya
Muhabbat ki koi manzil nahi hai
Muhabbat mauj hai saahil nahi hai
Meri afsurdagi pe hasne wale
Tere pehlu mein shayad dil nahi hai
Kehte ho mujhse ishq ka afsaana chaahiye
Ruswayi hogi aapko sharmaana chaahiye
Khuddaar itni fitrat e rindaana chaahiye
Saaki ye khud kahe koi paimaana chaahiye
Matti kharab karte ho kyun bemaar e hijr ki
Jo tumpe mar gaya usse dafnaana chaahiye
Ankhon mein dum ruka hai kisi ke liye zaroor
Do haath ko jum bach nahi ankhon mein toh dam hai
Rehne do abhi sagar o meena mere aage
Kehna sitam kop choda lillah na ab satao
Ankhein taras gayin hain aa jao ab aa bhi jaao
Khuda ke liye ab toh aa jao warna
Ankhon mein dum ruka hai
Lab toh jawaab de gaye tod raha hai dam koi
Ankhon mein dum ruka hai
Apne mareez e hijr se ab toh na beniyaz ho
Ankhon mein dum ruka hai
Kasid payaam e khat ko dena bahut na tool
Bas mukhtasar yeh kehna ke aa jaao
Ab aaoge jab aaoge
Khuda ke liye aa jao
Maah basant mein panchmi aayi
Sakhiyan karat sab haar singaaro
Kisko re chuda basanti pehnu
Ghar naahi more shaam pyaaro
Sakhiyon sau diwari diya sau diwari nagar sab jagmag
Maine nagar mein diya hi nahi baro main kehti kab aaoge
Aate aate lab pe aahein thak gayin
Aa bhi jaao ab nigahein thak gayin
Kab aaoge jab aaoge tab aaoge
Kya bann ke qayamat ka sabab aaoge
Chchayi hai ghata aur barasti hai sharaab
Tum ab bhi nahi aaoge toh kab aaoge
Ankhon mein dum ruka hai kisi ke liye zaroor
Warna mareez e hijr ko mar jaana chaahiye
Wada andheri raat mein aane ka tha 'Qamar'
Ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye