Ishq mein souz e ishq se sham e sifat pighal gayi
aap hi jalaayi aag aap hi isme jal gaye
dair tha aage kaaba tha iski mujhe khabar nahi
yaar jidhar nikal gaya hum bhi udhar nikal gaye
dil mein agar tarap na ho aashiq ki aashiqui nahi
dard se ho jo bekhabar aadmi aadmi nahi
ye dard khareeda nahi jaata hai dirham se
ye dard milta hai fakat unke karam se
dard se itna nawaazo koi darmaan na rahe
dil kisi aur ke sharminda e ehsaan na rahe
dil mein aur to kya rakha hai
tera dard chchupa rakha hai
dard nadir ke dil o daar ko dene waale
hum teri zeest ko har waqt dua dete hain
rooh mein taazgi nahi dil mein shaguftagi nahi
tera bagair zindagi maut hai zindagi nahi
dil ko nahi sukoon meri jaan tere bagair
aaja pareshan hai zindagai tera bagair
haasil e zindagi ho tum bas meri zindagi ho tum
tera malaal gham mera tere khushii khusi meri
tere bagair jaan e jaan zindagi zindagi nahi
meena khamosh jaam khafa maikada udaas
sooni padi hai mehfil e rindan tere bagair
jab teri baat kaan padti hai
tann e bejaan mein jaan padti hai
faasla tere dar ka hai itna
zindagi darmayaan padti hai
tere karam se beniyaaz kaunsi shai mili nahi
jholi hi meri tang hai tere yahaan kami nahi
ab toh ibaat hi nahi maana ki hosh hi nahi
aapko bhool jaun main aisi toh bekhudi nahi
ik baar tujhe akl ne chaaha tha bhulaana
sau baar junoon ne teri tasveer dikha di
tere siwa nahi koi peshe nazar koi toh ho
sajda kise karoon bata saamne jab tu hi nahi
zakhm pe zakhm kha ke jee apne lahu ke ghoont pee
aah na kar labon ko see ishq hai dillagi nahi
lakhon haseen ru ba ru aaye magar nigah na ki
tere bagair gair ko dekhun to aashiqui nahi